Manqabat-E Imam Hussain Alayhis Salam (Kalaam-E Shaikhe Azam)


Mere sarkar ki azmat ko dikhate hayn husain
Dine islam ko kis tarah bacha te hayn husain

Raahe haq ke liye parwah nah ki gharwalo ki
Kis tarah haq ki woh ta'lim sikha te husain

Zulm peh zulm barha kitni musibat ka tha din
Aise bhi waqt me qur'an suna te hayn husain

Jaan jaye magar batil ke woh age nah jhuke
Yeh thi ta'lime nabi jis ko bata te hayn husain

Dine islam ki ta'lim nah chori ran me
Paikare husne amal ghar ko luta te hayn husain

Jaan qurban tu kar te rahe ashaqe  husain
phir bhi khush bakht the keh laash utha te hayn husain

Kis tarah fasiq o fajir ko woh kar te taslim
Imtihan dena mashiyyat thi nibha te hayn husain

Payi a'qa ne waladat o shahadat ki khabar
Sabr ki saari dua ran me dikha te hayn husain

Is liye deta hayn Izhar duhayi unki
Baat bigri huyi ek pal me bana te hayn husain




★Izhar-E Aqidat★
Shaikhe Azam Hazrat Syed Izhar Ashraf Ashrafi Jilani (Rh.)

No comments

Thanks for comment

Powered by Blogger.