The word of the wise - Islamic Qawl (Hindi part 2)
Apni Beti ki shadi ek Ahle Takwa Mard ke sath karo, kew ki ager wo ap ki Beti ko chahta hoga to bohot Ehteram karega, aur ager nahi bhee chahta hoga us per Julm Nahi karega----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Hum Ahlebait Rasool Sallallahu alayhe wasallam ki mohabbat Gunaho ko ayse Jhar deti he, jaise hawa Darakht se patto ko Jhar deti he-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Kisi Shaks ne -Hazrat Imam Hussain (R.A) se pucha karam ka kya matlab he? -Hazrat Imam Hussain (R.A) ne farmaya Be mange ataa karna....
Jo Dunya ko bohot Mahboob Rakhta he uske Dil se Akhirat ka khauf Chala Jata he-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Tejtarin Akhen wo he jo neki aur Achayi ne khuli ho, jyada sunne wale kaan wo he jo nasihat sune aur us se fayida hasil kare, Mahfuj tareen aur salam tareen Dil wo he jo sabse paak ho-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Insaan ka behtarin aur karibi Dost wo he jo ke sukh-dukh me sath de, agerche usse Door ka Rishta he kew na Rahe-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Haq aur Batil me Char Ungliyo ka Fasla he, Jo apni Akho se Dekho wo Haq he, aur Kano se to bohot se Galat bate bhee suna karte ho-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Apna ilm Logo ko Sikhawo, Dusro ka ilm khud sikho, is tarha tum apne ilm majbut kar Loge, aur jo nahi jante ho uska ilm hasil karloge-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Gusse ko ghut ghut kar pijana aur Dushmano ke sath Ache bartaw karna----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Jo Shaks Din nahi rakhta Sharmo haya bhee nahi rakhta-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Hazrat Ali (R.A.) hedayat ka darwaja he, jo us darwaje se Dakhil hoga wo hedayat payega-----Hazrat Imam Hussain (R.A)
Kam kehne me sehat he, kam bolne me samajhdari he, aur kam sone me ibadat he----Hazrat Umar (R.A.)
Jisne Subha kl Namaj ada ki wo Allah ke jimme me he----Hazrat Mohammad Sallallahu alayhe wasllam...
Apke Akhlaq ki kadar bhee Log us wakt karenge jab ap ke paas Dowlat aur Takat ho, Gareeb kitna he khus Akhlaq ho Log uske Akhlaq ko uski majburi Samajhte he----Sheikh Sadi.....
No comments
Thanks for comment